Mar 11, 2012

Home » » Jain bhagwati diksha- Biratnagar Nepal

Jain bhagwati diksha- Biratnagar Nepal


Mahatapaswi udaymaan surya Amrit Purush Acharya Shree Mahashraman Jee ki agya anusar Saadhvi Shree Trishla Kumari Jee ke pawan sanidhya me Smt.Indra devi kundaliya jee ki aaj subha 8:15 a.m (Indian time) ko bhavya Shobha Yatra Hemrajjee kundaliya ke ghar se Jain swetember terapanth bhawan tak nikali gayi thi.Phir 10:15 a,m ko Jain bhagwati diksha suru ki gayi thi,diksha farmane ke dauraan Saadhvi Shree Trishla Kumarijee ne Acharya Shree Mahashramanjee ki agya anusar nav dikshit bahen ka naam Saadhvi Amritshree jee ghosit kiya .
Ass-pass ke sabhi kshetro (Nepal-India) ke dhram premi mahanubhav ne nav dikshit Saadhvi Amritshree jee ki diksha ke subh sankalp me apni hardik ullashita awam sahabhagita arpit ki iske liye hum biratnagar vashi saab ka abhar vykat karte hai.
Saadhvi Amritshreejee ka yeh saahshik kadam na sirf biratnagar Vashiyon ko apitu Sampurn nepal ko Gouraanvit kar raha hai
TYP(Biratngar), Saadhvi Amritshreejee key yeh pawan, sasakt,adhbhoot,akhatniye karya me apni hardik subhekchha vykat karta hua yeh kamana karta hai ki saadhvi Amritshreejee apne chintit lakshya ko shighratam sakaar kare.
TYP(Biratnagar) is diksha samaroh me apni yogdan den ke hetu Nepal-India suchna sanchar parivahan sansadhno ka hardik kritagyata vykat karta hai.
Share this article :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. JTN: Jain bhagwati diksha- Biratnagar Nepal . All Rights Reserved
Company Info | Contact Us | Privacy policy | Term of use | Widget | Advertise with Us | Site map
Template modify by Creating Website. Inspired from CBS News